Tuesday 16 April 2013

UPTET:Today's Court Hearings Main Points (Updated)



Aaj ki court hearing ki main point hai. 
1.Aaj ki sunwai mein A.P.Shahi ji aur unki team ne sanyukt roop se tet ke tulna NET se karte huye kaha ki jis tarah m.phil, m.a. karne ke baad lecturer ki job karne ke liye NET jaroori hai theek usi tarah primary teacher ki job ke liye tet pas hona aniwarya hai.
2.A.p.shahi ji ne is line ko kai bar repeat kiya ki NET sirf ek national eligibilty test hai jo ki essential qualification hai jo apko sirf qualified lecturer ki job ke liye banati hai bad me university ya institution apko job basis criteria tay karti hai theek usi tarah TET bhi sirf ek patrata pariksha hai.Sirf tet pass hona matra job ki gurantee nahi hai. ye sirf ek minimum qualification hai jo ki primary teacher ke pad ke liye awasyak hai.
3.Isi adhar per unhone siksha mitro ko tet pas hona anivarya bataya for appointment to primary teacher post. aaj lunch ke bad pura waqt 2004,2005. etc anya batch ke sbtc ladko ko tet se choot ke liye bahas chalti rahi. per judges panel ke rukh se nahi lagta ki unhe tet se mukti milegi. aaj koi bhi case DB me transfer nahi huwa hai.
4.Non-TETwale matter pe faisla surakshit kar liya gaya hai.judges ne tet ko sirf ek patrata pariksha mana hai.
5.The hearing of our case will be continue tommorow means on 17-04-2013.

0 comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...